Batting Basics



 BASICS OF BATTING OF HARD BALL CRICKET:
INTRODUCTION
 Hard ball  cricket main acha batsmen vo kehlata hai
 jis ko ground shots khailta ho,
jo gap main shots nikalne janta hon
aur har qisam ki bowling k samnai
aur pitch per performance dai sakta ho.

Is tarah ki batting k liye zaruri hai k insaan kuch khaas basic techniques ko seekhai. 
Un techniques per janai se pehlai ek zaruri bat jan lijye,
k jo apki KHUDAD salahiyat (natural talent) hai usko kabhi mat badliye, jis style aur jis andaaz main ap comfortable ho usi tarah apni batting kijiye, kabhi kisi ki mukamal copy mat kijiye,
bas chand basics points hain unko zarur seekhiye.

BASIC POINTS

AP SAMAJH LIJIYE K AP TAYAR HOKER BATTING KERNE K LIYE PITCH PER AACHUKE HAIN

STEP NO:
1. Guard laina
2. Bat ko V grip se pakarna
3. Standing position main ana
4. Apni nazro ko screen per rakhan 
    (matlab jehan se bowler ka hath ata hai ball keratai waqt)
5. Ab andazaa lugana k ball front foot pe aigi ya back foot per
6. Shot select kerna ball ki direction aur bounce k hisab se
7. BANG...... 

DETAIL
Ager apka koi favourite internatinal player hai tu uski copy mat kijiye balkai uski basics techniques ko seekhiye. 


Step 1) TAKING GUARD


Is ka matlab hai Stumps ki line k hisab se kharai hona aur apna bat ko us line per rakhan jo apnai guard liya hai.
3 Tarah k guard laisakte hain

1.) Leg Stump 
2.) Middle and Leg Stump 
3.) Middle Stump


In teeno ka apna apna faida hai
Leg stump
Ye vo players laitai hain jo off-side pe shot khailne ko pasand kerte hain, kiyon k is guard se off-side pe shot khailna assan hojata hai.
ziada tar openers yehi guard laitai hain baqi condition k hisab se batsman apna guard chose kerte hain.


Middle & Leg Stump

Ye line middle stump aur leg stump k beech main bunti hai. Is Guard se batsman ba'asani se leg side aur off-side pe khailsakta hai.





Middle Stump
Ye vo players laitai hain jo ground k v main shots khailte hain matlab cover, straight, mid wicket etc.
aur is guard se leg per khailna bhi assan hojata hai.






in teeno main se ap jis guard main khud ko comfortable mehsoos kerain usi guard ko istamal karain.


Step 2) GRIPPING

Jo book ki gripping hai vo "V SHAPE" grip khailati hai,

                                                                                                  
                                                                        

Ye  3 pictures sai ab basani v grip seekh sakte hain,
Laiken her player apni grip khud banata hai ap jaisi bhi grip bunai ye apki choice hai
LAIKEN
ye zarur yaad rakhai k chahe grip jaisai bhi pakrain bottom hand ko kabhi bhi tight nhi pakrain halka pakrain.
yaad rahai bottom hand ko tight nhi pakrana


bottom hand RIGHTY batsman ka right hand
aur LEFTY batsman ka left hand hota hai


Step 3) STANDING POSITION (STANCE)
Ye sab se zaruri step hai ye sahi tu batting sahi ager ye sahi nhi tu behtar hai batting chordijai.
Ye step kafi ziada lengthy bhi hai, tu sabbar k sath isko parhiye aur samjiye.
Ismai four types hain
  1. back lift
  2. legs 
  3. trigger movement 


Sab se pehle bat kerte hain BAT ko lift kerne ki
  • BACK LIFT (matlab bat ko lift kerna)
Back Lift k 2 parts hain
1.) BAT DIRECTION and 
2.) BAT LIFT 
Pehlai DIRECTION phir LIFT ki baat kerte hain

BAT DIRECTION
Kuch professional players apne bat ko shot khailne se pehlai stumps k oper rakhte hain, kuch keeper ki taraf, kuch 1st slip aur kuch aur bhi ziada cross rakhte hain.

WAJA (REASON) 
STUMP K OPER rakhne se batsman bohat asani se straight bat shot khailsakta hai jiski waja se out hone ka RISK bohat kum hojata hai (jaisa k caught behind, edge etc..). Ye test match k liye behtreen style hai LAIKEN is main masla ye hai k istarah khailnese ap hitting ker k taizi se runs score nhi kerpatai  kyo k isse shot main power kum hojati hai
1st SLIP ki taraf bat ko rakhne se, bat thora sa cross hojata hai, isse ap k shots mai thori power barhjati hai aur risk bhi pehlai k muqbalai thora barha jata hai
(sachin ka bat 1st slip ki taraf hai)

Matlab jitna ziada ap bat ko cross kerte jainge power barhaigi sath main out hone ka risk bhi barhaiga
AB YE AP KO DECIDE KERNA HAI MATCH KI SITUATION SE.
 
   

is picture main Hafeez ne bat ko 
bohat ziada cross rakha hoa hai 



Ab baat kerte hain bat ko LIFT kerne ki 
ek seedi si logic hai mere dosto shot khailne se pehle jitna bat ko ap oper rakhainge utni hi power kum hogi
aur jitna ap bat ko nechay se oper laijaingey power utni hi ziada hogi

 




 Ab in bhai ne apne bat kafi oper rakha hoa hai, aisa kerne se in k shots main power kum hogi

 



Isi tarah jitna ap bat ko nechay se lainge ap k shots main power ziada hogi
aam taur per professional players apne bat ko apne bottom tak lift kerte hain. Jaisa k SACHIN TENDULKAR.


AB AKHRI BAT YEHI HAI K APKO KHUD HI APNE HISAB SE BAT DIRECTION AUR BAT LIFT KA COMBINATION BUNANA HAI
AP JIS STYLE MAIN COMFORTABLE HON.
LAIKEN YE SAB BASICS APKO MALOOM HONI CHAYE HAIN TAKAY APKO PATA HO K AP KIYA KER RAI HAIN.

 
Step 4) NAZAR SCREEN PER

Batsman ko apni nazro ko screen ki taraf rakhna chaye hai
Ek aham baat
Ager ap ankho se righty hain tu apni right eye ko ziada focus main rakhain
isi tarah ager lefty hain tu left eye se ziada focus karain.
2 ankhon main se har insan ki ek ankh dosri ankh se behtar hoti hai. Tu batting k waqt apni behtreen ankh se ziada focus kijiye.





Is pic main MATTHEW HAYDEN apni left eye se focus kiye hoa hain aur isi waja se inka pora face turn hoa wa hai.
Hayden Left handed and left eyed hain.
Ap sawal ye hai k apko k se pata chalai k ap ankho se lefty hain ya righty tu is k liye visit kijye nechay diye hoa lin per
press ctrl and than click

http://www.hamiltontrapclub.com/htc/DominantEye/go

STEP 5) FRONT FOOT & BACK FOOT




Is step per batsman ko hoshiyar rehna hai aur in bato ka andaza luana hai k;
1. ball ka bounce kidher hai
2. ball ki direction kis taraf hai
3. ball swing/cut kistaraf horeha hai
jitna acha andaza hoga utni hi achi batting hogi

BOUNCE se matlab ya tu ball short hogi ya good ya full length hogi
DIRECTION ka matlab ya tu ball off stump se door hogi ya offf stump per hogi ya tu middle stump ya leg stump per hogi

ab batsman ko in sab bato ka andaza lugane k baad ya tu front foot pe shot khailna hoga ya back foot per.

EK AUR AHEM BAT YE HAI K
IAN BELL FRONT FOOT PLAYER KEHLAITA HAI KIYON K YE ZIADATAR SHOT FRONT FOOT PE KHAILTA HAI,
AUR SACHIN TENDULKAR BACK FOOT PER KHAILTA HAI



ab aap apne apko note kijiye k aap back foot player hain ya front foot ap jaisa khailte hain vohi sabse acha hai



..................................... blogspot has deleted all my batting basics detail,